Satta Paksh ya Vipaksh, hai ye prashn sabke Samaksh, Kya tumne khol diye saare dayre, chunavi jalse k Uplaksh?
Bimari koun si hai bhaari, harkamp machati mahamaari. Taaj se vishaanu ki chahalkadmi, ya taaj poshi ki lachaari?
Jab ek ek mat ki hai Kimat, kya amol nahi matdata Ka Rakt. Atiranjit atishobhit visheshanon se alankrit, kya vishaanu hain jante koun tumhare Bhakt?
Bhakton kyu aate tum Aavesh me, pujte usse tum Sarvesh me? Jo marichh bana baitha hai, jag sadhu k Bhesh me?
Utsah janta me hai Asim, "Harsh" dhoondhe koi nekdil Kareem. Nafrat majboori ki tapish hawa Nahi, bahayein hum baad-e- Naseem
No comments:
Post a Comment